Sandese Aate Hain
Singers:- Sonu Nigam, Roop Kumar Rathod
Movie:- Border (1997)
Sandese aate hain
Humen tadpate hain
To chitthi ati hai
To poochh jati hai
Ke ghar kab aoge ...2
Likho kab aoge
Ki tum bin ye ghar soona soona hai
Sandese ate han
Humen tadpate han
To chitthi ati hain
To poochh jaati hai
Ke ghar kab aaoge ...2
Likho kab aoge
Ki tum bin ye ghar soona soona hai
Kisi dilwali ne kisi matwali ne
Humen khat likkha hai
Ki humse poochha hai
Kisi ki sason ne kisi ki dhadkan ne
Kisi ki choodi ne kisi ke kangan ne
Kisi ke kajre ne kisi ke gajre ne
Mahekti subahon ne machalti shamon ne
Akeli raton ne adhoori baton ne
Tarasti bahon ne
Aur poochha hai tarsi nighahon ne
Ke ghar kab aaoge ...2
Likho kab aoge
Ki tum bin ye dil soona soona hai
Sandese aate hain
Humen tadpate han
To chitthi ati hai
To pooche jati hai
Ke ghar kab aaoge ...2
Likho kab aaoge
Ki tum bin ye ghar soona soona hai
Mohabbat walon ne hamare yaron ne
Humen ye likkha hai ke humse poochha hai
Hamare gaon ne am ki chaon ne
Purane peepal ne baraste badal ne
Khet khaliayanon ne hare maidanon ne
Basanti belon ne jhoomti belon ne
Lachakte jhulon ne behekte phoolon ne
Chatakti kaliyon ne
Aur poochha hai gaon ki galiyon ne
Ke ghar kab aaoge ...2
Likho kab aoge
Ki tum bin gaon soona soona hai
Sandese aate hain
Humen tadpate hain
To chitthi aati hai
To pooche jaati hai
Ke ghar kab aaoge ...2
Likho kab aaoge
Ki tum bin ye ghar soona soona hai
Ohh... Ohh... Ohh...
Kabhi ek mamta ki
Pyar ki ganga ki
Vo chitthi ati hai
Sath vo lati hai
Mere din bachpan ke
Khel vo angan ke
Vo saya anchal ka
Vo teeka kajal ka
Vo lori raton men
Vo narmi hathon men
Vo chahat ankhon men
Vo chinta baton men
Bigadna oopar se
Mohabbat andar se
Kare vo devi maa
Yahin har khat men poochhe meri maa
Ke ghar kab aaoge ...2
Likho kab aaoge
Ki tum bin angan soona soona hai
Sandese aate han
Humen tadpate han
To chitthi aati hai
To poochhe jaati hai
Ke ghar kab aaoge ...2
Likho kab aaoge
Ki tum bin ye ghar soona soona hai
Oh.. oho.. ohh...
Ay guzarne wali hava bata
Mera itna kam karegi kya
Mere ganv ja mere doston ko salaam de
Meri gaanv men hai jo vo gali
Jahaan rehti hai meri dilduba
Use mere pyar ka jaam de...2
Vahin thodi door hai ghar mera
Mere ghar men hai meri boodhi maa
Mere maa ke pairon ko chhooke
Use uske bete ka nam de
Ay guzarne wali hava zara
Mere doston meri dilduba
Meri maa ko mera paigam de
Unhe jake tu ye paigam de
Main vapas aoonga ...2
Phir apne gaon men
Usiki chaon men
Ki maa ke anchal se
Ganv ke peepal se
Kisike kajal se
Kiya jo vada tha vo nibhaoonga
Main ek din aoonga ...8
Other post related to Lyrics
You may also like
Post a Comment